tapish ho soz-e-gham ho ishq mein lekin fughan kyon ho
tapish ho soz-e-ġham ho ishq meñ lekin fuġhāñ kyoñ ho
lagī ho aag siine meñ magar us meñ dhuāñ kyoñ ho
luTā dī apne hāthoñ jab matā.a-e-sīm-o-zar maiñ ne
to phir ab sañg-rezoñ par ġham-e-sūd-o-ziyāñ kyoñ ho
nigāh-e-avvalīñ to intihā.ī kaif-parvar thī
vahī dil meñ utar kar umr bhar ko nīsh-e-jāñ kyoñ ho
atā-e-ġham meñ bhī tafrīq kī tālib hai ḳhuddārī
jo sab kī dāstān-e-ġham ho merī dāstāñ kyoñ ho
na jiite jī shifā baḳhshī na jiine kī duā māñgī
koī phir 'nūr' mayyat par hamārī nauha-ḳhvāñ kyoñ ho
tapish ho soz-e-gham ho ishq mein lekin fughan kyon ho
lagi ho aag sine mein magar us mein dhuan kyon ho
luTa di apne hathon jab mataa-e-sim-o-zar main ne
to phir ab sang-rezon par gham-e-sud-o-ziyan kyon ho
nigah-e-awwalin to intihai kaif-parwar thi
wahi dil mein utar kar umr bhar ko nish-e-jaan kyon ho
ata-e-gham mein bhi tafriq ki talib hai KHuddari
jo sab ki dastan-e-gham ho meri dastan kyon ho
na jite ji shifa baKHshi na jine ki dua mangi
koi phir 'nur' mayyat par hamari nauha-KHwan kyon ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.