tapta hua kisi ke koi aabla na ho
tapta hua kisi ke koi aabla na ho
Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi
taptā huā kisī ke koī aabla na ho
yā-rab hamārī tarah koī dil-jalā na ho
terī galī ko chhoḌ ke jaa.e vo phir kahāñ
tere sivā jise koī aur aasrā na ho
aao na aaj mil ke kareñ kulfatoñ ko duur
ye kaun jāntā hai ki kal kyā ho kyā na ho
jo chāho kar guzāro tumheñ roktā hai kaun
ye sach kahā kisī ne ki banda ḳhudā na ho
tā-hashr dard-e-dil se rahūñ lazzat-āshnā
yā-rab vo dard baḳhsh jo mujh se judā na ho
mar jaa.e sar na phoḌ kar apnā to kyā kare
vo ġham-nasīb jis ko koī aasrā na ho
vo sā.iqa-badosh chale aa rahe haiñ aaj
manzar ye dil-rubā kahīñ sabr-āzmā na ho
añgḌā.iyāñ kisī kī vo phir yaad aa ga.iiñ
phir shorish-e-junūñ meñ koī mubtalā na ho
phir be-naqāb aaj hai vo shāhid-e-jamāl
ġhash khā ke koī tuur pe dekho girā na ho
chingāriyāñ sī uḌtī haiñ pahlū se kyoñ 'zakī'
qalb-o-jigar ko dekho kahīñ aabla na ho
tapta hua kisi ke koi aabla na ho
ya-rab hamari tarah koi dil-jala na ho
teri gali ko chhoD ke jae wo phir kahan
tere siwa jise koi aur aasra na ho
aao na aaj mil ke karen kulfaton ko dur
ye kaun jaanta hai ki kal kya ho kya na ho
jo chaho kar guzaro tumhein rokta hai kaun
ye sach kaha kisi ne ki banda KHuda na ho
ta-hashr dard-e-dil se rahun lazzat-ashna
ya-rab wo dard baKHsh jo mujh se juda na ho
mar jae sar na phoD kar apna to kya kare
wo gham-nasib jis ko koi aasra na ho
wo saiqa-badosh chale aa rahe hain aaj
manzar ye dil-ruba kahin sabr-azma na ho
angDaiyan kisi ki wo phir yaad aa gain
phir shorish-e-junun mein koi mubtala na ho
phir be-naqab aaj hai wo shahid-e-jamal
ghash kha ke koi tur pe dekho gira na ho
chingariyan si uDti hain pahlu se kyon 'zaki'
qalb-o-jigar ko dekho kahin aabla na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.