tapte hue sahra mein shajar DhunD raha hun
tapte hue sahra mein shajar DhunD raha hun
Abdul Majeed Khan Majeed
MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed
tapte hue sahrā meñ shajar DhūñD rahā huuñ
koī to mile ahl-e-nazar DhūñD rahā huuñ
kyā baat hai jo baat hī bantī nahīñ apnī
maiñ apnī duāoñ meñ asar DhūñD rahā huuñ
vo ek nazar chiir ke rakh de jo jigar ko
mahfil meñ vahī tīr-e-nazar DhūñD rahā huuñ
soī soī maujoñ meñ jo halchal sī machā de
tūfānoñ meñ vo zer-o-zabar DhūñD rahā huuñ
hālāt ne har chiiz kī pahchān miTā dī
maiñ gaañv meñ ab apnā hī ghar DhūñD rahā huuñ
elān-e-sadāqat kā amiiñ ban ke uThe jo
neze pe 'majīd' aaj vo sar DhūñD rahā huuñ
tapte hue sahra mein shajar DhunD raha hun
koi to mile ahl-e-nazar DhunD raha hun
kya baat hai jo baat hi banti nahin apni
main apni duaon mein asar DhunD raha hun
wo ek nazar chir ke rakh de jo jigar ko
mahfil mein wahi tir-e-nazar DhunD raha hun
soi soi maujon mein jo halchal si macha de
tufanon mein wo zer-o-zabar DhunD raha hun
haalat ne har chiz ki pahchan miTa di
main ganw mein ab apna hi ghar DhunD raha hun
elan-e-sadaqat ka amin ban ke uThe jo
neze pe 'majid' aaj wo sar DhunD raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.