tapte sahra mein koi phul khilane ke liye
tapte sahrā meñ koī phuul khilāne ke liye
itnā betāb na ho ḳhaak uḌāne ke liye
daav par jaan lagā dī use paane ke liye
ab mire paas bachā kyā hai gañvāne ke liye
vaz.a-dārī kā tahaffuz koī āsān nahīñ
kitne sar kaT ga.e dastār bachāne ke liye
kuchh diyā yā na diyā ham ko zamāne ne magar
kuchh na kuchh chhoḌ ke jā.eñge zamāne ke liye
maiñ ne bhī dekh liyā pyaar bharī nazroñ se
vo bhī par taul rahā thā idhar aane ke liye
halke logoñ ko na hamrāz banānā 'kāshif'
sūkhe patte haiñ faqat shor machāne ke liye
tapte sahra mein koi phul khilane ke liye
itna betab na ho KHak uDane ke liye
daw par jaan laga di use pane ke liye
ab mere pas bacha kya hai ganwane ke liye
waza-dari ka tahaffuz koi aasan nahin
kitne sar kaT gae dastar bachane ke liye
kuchh diya ya na diya hum ko zamane ne magar
kuchh na kuchh chhoD ke jaenge zamane ke liye
main ne bhi dekh liya pyar bhari nazron se
wo bhi par taul raha tha idhar aane ke liye
halke logon ko na hamraaz banana 'kashif'
sukhe patte hain faqat shor machane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.