tapte sahra mein ye KHushbu sath kahan se aai
tapte sahrā meñ ye ḳhushbū saath kahāñ se aa.ī
zikr zamāne kā thā terī baat kahāñ se aa.ī
jaltī dhuup ke lashkar ke ḳheme kis ne toḌ diye
jhilmil karte tāroñ kī bārāt kahāñ se aa.ī
biite lamhe lauTe bhī to yaad bane yā ḳhvāb
parchhā.īñ thī parchhā.īñ phir baat kahāñ se aa.ī
chāñd abhī to niklā hī thā kaise Duub gayā
mere āñgan meñ ye kaalī raat kahāñ se aa.ī
tapte sahra mein ye KHushbu sath kahan se aai
zikr zamane ka tha teri baat kahan se aai
jalti dhup ke lashkar ke KHeme kis ne toD diye
jhilmil karte taron ki baraat kahan se aai
bite lamhe lauTe bhi to yaad bane ya KHwab
parchhain thi parchhain phir baat kahan se aai
chand abhi to nikla hi tha kaise Dub gaya
mere aangan mein ye kali raat kahan se aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.