taqaza-e-dil-o-jaan ka kahin darman nahin milta
taqāzā-e-dil-o-jāñ kā kahīñ darmāñ nahīñ miltā
dayār-e-dard meñ taskīn kā sāmāñ nahīñ miltā
ḳhirāminda haiñ maiḳhāne agarche terī āñkhoñ meñ
yahāñ se bhī mudāvā-e-ġham-e-pinhāñ nahīñ miltā
tirī chashm-e-tamāshā-mast meñ ġhaltāñ haiñ afsāne
magar tamhīd-e-ulfat kā koī unvāñ nahīñ miltā
kisī shai kī kamī hai tere jalvoñ kī navāzish meñ
ki ab vo vālehāna-pan vo zauq-e-jāñ nahīñ miltā
tire andāz kī ġhārat-garī bhī kyā qayāmat hai
ki naqd-e-zindagī-o-gauhar-e-īmāñ nahīñ miltā
kamāl-e-iffat-e-qalb-o-nazar mafqūd hai 'ḳhālid'
ye rutba mil to jaatā hai magar āsāñ nahīñ miltā
taqaza-e-dil-o-jaan ka kahin darman nahin milta
dayar-e-dard mein taskin ka saman nahin milta
KHiraminda hain maiKHane agarche teri aankhon mein
yahan se bhi mudawa-e-gham-e-pinhan nahin milta
teri chashm-e-tamasha-mast mein ghaltan hain afsane
magar tamhid-e-ulfat ka koi unwan nahin milta
kisi shai ki kami hai tere jalwon ki nawazish mein
ki ab wo walehana-pan wo zauq-e-jaan nahin milta
tere andaz ki ghaarat-gari bhi kya qayamat hai
ki naqd-e-zindagi-o-gauhar-e-iman nahin milta
kamal-e-iffat-e-qalb-o-nazar mafqud hai 'KHalid'
ye rutba mil to jata hai magar aasan nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.