taqdir badalni na-mumkin bande se KHudai kya hogi
taqdīr badalnī nā-mumkin bande se ḳhudā.ī kyā hogī
jaisī hai guzarnī guzregī dushman se burā.ī kyā hogī
jab fasl-e-bahārāñ aa.ī thī ḳhushiyoñ meñ parinde gaate the
gulshan meñ ḳhizāñ kā 'ālam hai ab naġhma-sarā.ī kyā hogī
be-‘aql haiñ vo nādān haiñ vo jo aas lagā.e baiThe haiñ
jab ḳhud na sudhāreñ haal apnā auroñ se bhalā.ī kyā hogī
ruk jaate haiñ dil hī dil meñ mire kyā ḳhaak bulandī par pahuñcheñ
naale na zabāñ tak aate haiñ tā-‘arsh rasā.ī kyā hogī
mehnat se bachāte haiñ dāman piirī pe utar aa.e haiñ shaiḳh
āsān kamā.ī haath lagī dushvār kamā.ī kyā hogī
bachne kī nahīñ sūrat ai dil bekār haiñ terī tadbīreñ
nazroñ se tahaffuz kyā hogā zulfoñ se rihā.ī kyā hogī
kyā ḳhuub nibhā.ī shart-e-vafā 'bartar' ko akelā chhoḌ ga.e
rū-posh hue ho zer-e-lahad ab jalva-numā.ī kyā hogī
taqdir badalni na-mumkin bande se KHudai kya hogi
jaisi hai guzarni guzregi dushman se burai kya hogi
jab fasl-e-bahaaran aai thi KHushiyon mein parinde gate the
gulshan mein KHizan ka 'alam hai ab naghma-sarai kya hogi
be-‘aql hain wo nadan hain wo jo aas lagae baiThe hain
jab KHud na sudhaaren haal apna auron se bhalai kya hogi
ruk jate hain dil hi dil mein mere kya KHak bulandi par pahunchen
nale na zaban tak aate hain ta-‘arsh rasai kya hogi
mehnat se bachate hain daman piri pe utar aae hain shaiKH
aasan kamai hath lagi dushwar kamai kya hogi
bachne ki nahin surat ai dil bekar hain teri tadbiren
nazron se tahaffuz kya hoga zulfon se rihai kya hogi
kya KHub nibhai shart-e-wafa 'bartar' ko akela chhoD gae
ru-posh hue ho zer-e-lahad ab jalwa-numai kya hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.