taqdir bigaDti jati hai go baat banae jate hain
taqdīr bigaḌtī jaatī hai go baat banā.e jaate haiñ
vo utnā hī rūThe jaate haiñ ham jitnā manā.e jaate haiñ
ab jā ke nahīñ aane vaale kuchh tuur pe paa.e jaate haiñ
hañste haiñ tasallī dene ko aur ashk bhī aa.e jaate haiñ
rah rah ke dhaḌak uThtā hai jigar aur saañs bhī ukhḌī jaatī hai
ai maut Thahar tājīl na kar dam bhar meñ vo aa.e jaate haiñ
bātoñ meñ muravvat ke rishte vo toḌ rahe haiñ hañs hañs kar
āñkhoñ se mohabbat ke sāġhar rah rah ke pilā.e jaate haiñ
un ko hai chaman se kyā matlab yā phuul khileñ yā aag lage
jin tinkoñ ne rishta joḌā thā chun chun ke jalā.e jaate haiñ
batlā.eñ 'habīb' ik raaz tumheñ kyā shām-e-firāq meñ haa.e charāġh
kis tarah jalā.e jaate haiñ kis tarah bujhā.e jaate haiñ
taqdir bigaDti jati hai go baat banae jate hain
wo utna hi ruThe jate hain hum jitna manae jate hain
ab ja ke nahin aane wale kuchh tur pe pae jate hain
hanste hain tasalli dene ko aur ashk bhi aae jate hain
rah rah ke dhaDak uThta hai jigar aur sans bhi ukhDi jati hai
ai maut Thahar tajil na kar dam bhar mein wo aae jate hain
baaton mein murawwat ke rishte wo toD rahe hain hans hans kar
aankhon se mohabbat ke saghar rah rah ke pilae jate hain
un ko hai chaman se kya matlab ya phul khilen ya aag lage
jin tinkon ne rishta joDa tha chun chun ke jalae jate hain
batlaen 'habib' ek raaz tumhein kya sham-e-firaq mein hae charagh
kis tarah jalae jate hain kis tarah bujhae jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.