taqdir se karen ki gila baghban se hum
taqdīr se kareñ ki gila bāġhbāñ se ham
chhoḌā hai kab chhuḌā.e ga.e āshiyāñ se ham
furqat meñ kaam lete to zabt-e-fuġhāñ se ham
laate magar ye dil ye kaleja kahāñ se ham
tafsīl-e-bazm-e-husn sunā.īñ kahāñ se ham
jab aa.e darmiyāñ meñ uThe darmiyāñ se ham
manzil pe pahuñche qāfila vaale magar hanūz
khelā kiye ġhubār-e-pas-e-kārvāñ se ham
kaT jaa.e shāḳh-e-zīst se patta na jaane kab
bāġh-e-jahāñ meñ ab to haiñ barg-e-ḳhizāñ se ham
ahd-e-shabāb meñ jo bararte the misl-e-tīr
piirī meñ dekhte haiñ unhīñ ko kamāñ se ham
phir ham samajhte mil ga.ī ham ko vafā kī daad
rūdād-e-ishq sunte jo un kī zabāñ se ham
duniyā kā rañj hai na to uqbā kī fikr hai
yuuñ be-niyāz ho ga.e donoñ-jahāñ se ham
kyā jaane koī ashk-e-nadāmat kī aabrū
laa.e haiñ taare toḌ ke ye āsmāñ se ham
manzil shanās-e-rāh-e-haqīqat se pūchhiye
ham se ye kārvāñ hai ki haiñ kārvāñ se ham
'sho.ala' samajh meñ ā.eñge kyā rāz-hā-e-ishq
jab tak ki āshnā na hoñ dard-e-nihāñ se ham
taqdir se karen ki gila baghban se hum
chhoDa hai kab chhuDae gae aashiyan se hum
furqat mein kaam lete to zabt-e-fughan se hum
late magar ye dil ye kaleja kahan se hum
tafsil-e-bazm-e-husn sunain kahan se hum
jab aae darmiyan mein uThe darmiyan se hum
manzil pe pahunche qafila wale magar hanuz
khela kiye ghubar-e-pas-e-karwan se hum
kaT jae shaKH-e-zist se patta na jaane kab
bagh-e-jahan mein ab to hain barg-e-KHizan se hum
ahd-e-shabab mein jo bararte the misl-e-tir
piri mein dekhte hain unhin ko kaman se hum
phir hum samajhte mil gai hum ko wafa ki dad
rudad-e-ishq sunte jo un ki zaban se hum
duniya ka ranj hai na to uqba ki fikr hai
yun be-niyaz ho gae donon-jahan se hum
kya jaane koi ashk-e-nadamat ki aabru
lae hain tare toD ke ye aasman se hum
manzil shanas-e-rah-e-haqiqat se puchhiye
hum se ye karwan hai ki hain karwan se hum
'shoala' samajh mein aaenge kya raaz-ha-e-ishq
jab tak ki aashna na hon dard-e-nihan se hum
- Book : Naghmah-e-Fikr (Pg. 72)
- Author : Shola Saiyed Momin Husain Taqvi Kararivi
- Publication : Shabistan 218 Shahah ganj Allahabad (1968)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.