tarab-KHanon ke naghme gham-kadon ko bha nahin sakte
tarab-ḳhānoñ ke naġhme ġham-kadoñ ko bhā nahīñ sakte
ham apne jaam meñ apnā lahū chhalkā nahīñ sakte
chaman vaale ḳhizāñ ke naam se ghabrā nahīñ sakte
kuchh aise phuul bhī khilte haiñ jo murjhā nahīñ sakte
nigāheñ saath detī haiñ to sunte haiñ vo afsāne
jo palkoñ se jhalakte haiñ zabāñ par aa nahīñ sakte
ab aa kar laaj bhī rakh le ḳhizāñ-dīda bahāroñ kī
ye dīvāne fasānoñ se to jī bahlā nahīñ sakte
kuchh aisī dukh-bharī bāteñ bhī hotī haiñ mohabbat meñ
jinheñ mahsūs karte haiñ magar samjhā nahīñ sakte
chalo pābandī-e-fariyād bhī ham ko gavārā hai
magar vo giit jo ham muskurā kar gā nahīñ sakte
hameñ patvār apne haath meñ lene paḌeñ shāyad
ye kaise nāḳhudā haiñ jo bhañvar tak jā nahīñ sakte
tarab-KHanon ke naghme gham-kadon ko bha nahin sakte
hum apne jam mein apna lahu chhalka nahin sakte
chaman wale KHizan ke nam se ghabra nahin sakte
kuchh aise phul bhi khilte hain jo murjha nahin sakte
nigahen sath deti hain to sunte hain wo afsane
jo palkon se jhalakte hain zaban par aa nahin sakte
ab aa kar laj bhi rakh le KHizan-dida bahaaron ki
ye diwane fasanon se to ji bahla nahin sakte
kuchh aisi dukh-bhari baaten bhi hoti hain mohabbat mein
jinhen mahsus karte hain magar samjha nahin sakte
chalo pabandi-e-fariyaad bhi hum ko gawara hai
magar wo git jo hum muskura kar ga nahin sakte
hamein patwar apne hath mein lene paDen shayad
ye kaise naKHuda hain jo bhanwar tak ja nahin sakte
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 97)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.