taraddud mein hain sab kabon ka but-KHanon ka kya hoga
taraddud meñ haiñ sab ka.aboñ kā but-ḳhānoñ kā kyā hogā
mujhe ye fikr hai gumrāh insānoñ kā kyā hogā
bahār aate hī pahlī baat ye kahte haiñ dīvāne
chaman ārāsta hai haa.e vīrānoñ kā kyā hogā
haqīqat phir haqīqat hai samajh lo soch lo tum bhī
zabāñ kholeñge ham jis vaqt afsānoñ kā kyā hogā
ġharīboñ ko jagah miltī nahīñ hai sar chhupāne ko
yahī aalam rahā kuchh din to aivānoñ kā kyā hogā
bhalā ye ābrū-e-jām-o-mīnā rah bhī saktī hai
agar mai-ḳhvār uTh jaa.eñ to mai-ḳhānoñ kā kyā hogā
hamāre dam se tūfānoñ kā zor-o-shor qaa.em hai
hamāre Dūbne ke ba.ad tūfānoñ kā kyā hogā
asīroñ kī rihā.ī se koī ḳhatra nahīñ lekin
nigahbānoñ ko ye Dar hai ki zindānoñ kā kyā hogā
ye tabdīlī nizām-e-maikada par zulm hai saaqī
tū āñkhoñ se pilā degā to paimānoñ kā kyā hogā
bujhā kar sham.a ḳhud hī dekh lo 'ashraf' se mat pūchho
bujhegī sham-e-mahfil jab to parvānoñ kā kyā hogā
taraddud mein hain sab kabon ka but-KHanon ka kya hoga
mujhe ye fikr hai gumrah insanon ka kya hoga
bahaar aate hi pahli baat ye kahte hain diwane
chaman aarasta hai hae viranon ka kya hoga
haqiqat phir haqiqat hai samajh lo soch lo tum bhi
zaban kholenge hum jis waqt afsanon ka kya hoga
gharibon ko jagah milti nahin hai sar chhupane ko
yahi aalam raha kuchh din to aiwanon ka kya hoga
bhala ye aabru-e-jam-o-mina rah bhi sakti hai
agar mai-KHwar uTh jaen to mai-KHanon ka kya hoga
hamare dam se tufanon ka zor-o-shor qaem hai
hamare Dubne ke baad tufanon ka kya hoga
asiron ki rihai se koi KHatra nahin lekin
nigahbanon ko ye Dar hai ki zindanon ka kya hoga
ye tabdili nizam-e-maikada par zulm hai saqi
tu aankhon se pila dega to paimanon ka kya hoga
bujha kar shama KHud hi dekh lo 'ashraf' se mat puchho
bujhegi sham-e-mahfil jab to parwanon ka kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.