taras aaya nahin jis ko kabhi bhi haal par mere

taras aaya nahin jis ko kabhi bhi haal par mere
Yashvardhan Mishra
MORE BYYashvardhan Mishra
taras aaya nahīñ jis ko kabhī bhī haal par mere
vo apne aap kaise aa gayā phir jaal par mere
chamak dekho mire chehre pe aise hī nahīñ aa.ī
tumhārī yaad maare hai tamācha gaal par mere
tumhāre baa'd bhī ḳhālī rakhī hai ye jagah maiñ ne
nahīñ baiThā kabhī koī bhī dil ke taal par mere
likhā hai us ne merā naam 'yashvardhan' mohabbat se
hinā kā rang ab tum dekhnā rūmāl par mere
taras aaya nahin jis ko kabhi bhi haal par mere
wo apne aap kaise aa gaya phir jal par mere
chamak dekho mere chehre pe aise hi nahin aai
tumhaari yaad mare hai tamacha gal par mere
tumhaare ba'd bhi KHali rakhi hai ye jagah main ne
nahin baiTha kabhi koi bhi dil ke tal par mere
likha hai us ne mera nam 'yashwardhan' mohabbat se
hina ka rang ab tum dekhna rumal par mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.