tardid-e-ana ishq mein karne ka nahin main
tardīd-e-anā ishq meñ karne kā nahīñ maiñ
ab tark-e-marāsim se bhī Darne kā nahīñ maiñ
zanjīr koī lā mirī vahshat ke barābar
ik tere kahe se to Thaharne kā nahīñ maiñ
kal raat ajab dasht-e-balā paar kiyā hai
sau baar sahar se to sañvarne kā nahīñ maiñ
kyuuñ mumlikat-e-ishq se be-daḳhl kiyā thā
ab masnad-e-ġham se to utarne kā nahīñ maiñ
dam-bhar ko sahī izn-e-suḳhan chāhiye mujh ko
be-saut-o-sadā jaañ se guzarne kā nahīñ maiñ
ab chashm-e-tamāshā ko jhapakne nahīñ denā
is baar jo Duubā to ubharne kā nahīñ maiñ
har shakl hai mujh meñ mirī sūrat ke alāva
ab is se ziyāda to nikharne kā nahīñ maiñ
tardid-e-ana ishq mein karne ka nahin main
ab tark-e-marasim se bhi Darne ka nahin main
zanjir koi la meri wahshat ke barabar
ek tere kahe se to Thaharne ka nahin main
kal raat ajab dasht-e-bala par kiya hai
sau bar sahar se to sanwarne ka nahin main
kyun mumlikat-e-ishq se be-daKHl kiya tha
ab masnad-e-gham se to utarne ka nahin main
dam-bhar ko sahi izn-e-suKHan chahiye mujh ko
be-saut-o-sada jaan se guzarne ka nahin main
ab chashm-e-tamasha ko jhapakne nahin dena
is bar jo Duba to ubharne ka nahin main
har shakl hai mujh mein meri surat ke alawa
ab is se ziyaada to nikharne ka nahin main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.