tark-e-ulfat hai to phir ye bhi sikhate jao
tark-e-ulfat hai to phir ye bhī sikhāte jaao
kis tarah hijr meñ jiite haiñ batāte jaao
lauT aane kā irāda jo nahīñ hai to phir
dil se har naqsh mohabbat kā miTāte jaao
chāhe dekhe na palaT kar tumheñ jaane vaalā
tum use takte raho haath hilāte jaao
shab kī vahshat meñ vo chamkeñ to tumheñ yaad karūñ
kuchh sitāre mire āñchal pe sajāte jaao
naam jo mil ke daraḳhtoñ pe likhe the ham ne
vo nishānī bhī kisī taur miTāte jaao
shiddat-e-hijr se hai tang bahut dil kī zamīñ
vasl kā āḳhirī ik jaam pilāte jaao
ab to karne ko yahī kaam bachā hai 'gulfām'
siskiyāñ bharte raho ashk bahāte jaao
tark-e-ulfat hai to phir ye bhi sikhate jao
kis tarah hijr mein jite hain batate jao
lauT aane ka irada jo nahin hai to phir
dil se har naqsh mohabbat ka miTate jao
chahe dekhe na palaT kar tumhein jaane wala
tum use takte raho hath hilate jao
shab ki wahshat mein wo chamken to tumhein yaad karun
kuchh sitare mere aanchal pe sajate jao
nam jo mil ke daraKHton pe likhe the hum ne
wo nishani bhi kisi taur miTate jao
shiddat-e-hijr se hai tang bahut dil ki zamin
wasl ka aaKHiri ek jam pilate jao
ab to karne ko yahi kaam bacha hai 'gulfam'
siskiyan bharte raho ashk bahate jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.