tark-e-ulfat ka kuchh is tarh se paigham diya
tark-e-ulfat kā kuchh is tarh se paiġhām diyā
ḳhat meñ ġham bhar ke lifāfe pe mirā naam diyā
ratjage bebasī tanhā.iyāñ dard-o-ġham-o-yās
pahle ye sab diye tab jā ke mujhe jaam diyā
āñkheñ be-ḳhvāb jazīroñ se guzar kartī thiiñ
us ne ḳhvāboñ ko salīqe se phir ik shaam diyā
ham to vo the ki jinheñ kuchh bhī nahīñ aatā thā
us ne DhūñDhā bhī hameñ aur hameñ kaam diyā
tark-e-ulfat ka kuchh is tarh se paigham diya
KHat mein gham bhar ke lifafe pe mera nam diya
ratjage bebasi tanhaiyan dard-o-gham-o-yas
pahle ye sab diye tab ja ke mujhe jam diya
aankhen be-KHwab jaziron se guzar karti thin
us ne KHwabon ko saliqe se phir ek sham diya
hum to wo the ki jinhen kuchh bhi nahin aata tha
us ne DhunDha bhi hamein aur hamein kaam diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.