tark-e-ulfat ki hararat se yun Darne wale
tark-e-ulfat kī harārat se yuuñ Darne vaale
tum ne dekhe haiñ kahīñ hijr meñ marne vaale
ham to Duube haiñ tirī yaad kā patthar bāñdhe
ab na jiite jī kisī taur ubharne vaale
tū kisī aur khañDar meñ bhī to rah saktā thā
ai mire dil kī fasīloñ meñ utarne vaale
ab badan māñgtā phirtā hai badan kā marham
ab faqat ishq se ye zaḳhm na bharne vaale
saath ik umr guzārī to hameñ hairat hai
ham to do roz meñ the saaf mukarne vaale
tark-e-ulfat ki hararat se yun Darne wale
tum ne dekhe hain kahin hijr mein marne wale
hum to Dube hain teri yaad ka patthar bandhe
ab na jite ji kisi taur ubharne wale
tu kisi aur khanDar mein bhi to rah sakta tha
ai mere dil ki fasilon mein utarne wale
ab badan mangta phirta hai badan ka marham
ab faqat ishq se ye zaKHm na bharne wale
sath ek umr guzari to hamein hairat hai
hum to do roz mein the saf mukarne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.