tark-e-ulfat mein hai aaram bahut
tark-e-ulfat meñ hai ārām bahut
gul-ruḳho ho chuke badnām bahut
ham hī nādān the jur.at na huī
koī aayā to lab-e-bām bahut
ho muqaddar to qadam chūmegī
samt-e-manzil to haiñ do-gām bahut
TimTimāte haiñ ga.ī raat diye
jagmagāte the sar-e-shām bahut
bhuul jaatā huuñ maiñ ḳhud ko aksar
yaad aate haiñ ka.ī naam bahut
dīda-var farq samajh leñ shāyad
yuuñ 'muazzam' ke haiñ hamnām bahut
tark-e-ulfat mein hai aaram bahut
gul-ruKHo ho chuke badnam bahut
hum hi nadan the jurat na hui
koi aaya to lab-e-baam bahut
ho muqaddar to qadam chumegi
samt-e-manzil to hain do-gam bahut
TimTimate hain gai raat diye
jagmagate the sar-e-sham bahut
bhul jata hun main KHud ko aksar
yaad aate hain kai nam bahut
dida-war farq samajh len shayad
yun 'muazzam' ke hain hamnam bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.