tark-e-ulfat to ek bahana tha
tark-e-ulfat to ik bahāna thā
vo gayā ḳhair us ko jaanā thā
ham bhī raste meñ thak ga.e the bahut
us ko bhī saath kab nibhānā thā
ruḳh pe taaza gulāb kyā khilte
zard pattoñ kā vo zamāna thā
naam likkhā thā jo hathelī par
kitnā mushkil use miTānā thā
tum ne sho.ala banā diyā mujh ko
kyā mirā zarf āzmānā thā
dil ke luTne pe shor kyā karnā
kaun sā qīmtī ḳhazāna thā
tark-e-ulfat to ek bahana tha
wo gaya KHair us ko jaana tha
hum bhi raste mein thak gae the bahut
us ko bhi sath kab nibhana tha
ruKH pe taza gulab kya khilte
zard patton ka wo zamana tha
nam likkha tha jo hatheli par
kitna mushkil use miTana tha
tum ne shoala bana diya mujh ko
kya mera zarf aazmana tha
dil ke luTne pe shor kya karna
kaun sa qimti KHazana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.