Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tark kar ke dosti bhi wo ghazalon se lage

Shahabullah Shahab

tark kar ke dosti bhi wo ghazalon se lage

Shahabullah Shahab

MORE BYShahabullah Shahab

    tark kar ke dostī bhī vo ġhazāloñ se lage

    jis tarah Dar ḳhvāhishoñ ke uljhe jāloñ se lage

    māntā huuñ dostoñ saf meñ shāmil hai magar

    pahle jaisā ab nahīñ us ke savāloñ se lage

    apnī niyyat to hamesha saaf rakhtā huuñ magar

    Dar mujhe kuchh dostoñ maḳhfī chāloñ se lage

    us ne jo vā'da kiyā hai milne aa.egā zarūr

    muztarib jo mujhe be-kal ḳhayāloñ se lage

    jaane kab se koī bhī rahne nahīñ aayā yahāñ

    mujh ko aisā ghar ke sab bosīda tāloñ se lage

    sāqiyā kyā hai milāyā bāda-e-pur-josh meñ

    aag tan meñ tire in mai-piyāloñ se lage

    maiñ to rātoñ ke añdheroñ meñ bhī shādāñ huuñ 'shahāb'

    saath haiñ kuchh log jin ko Dar ujāloñ se lage

    tark kar ke dosti bhi wo ghazalon se lage

    jis tarah Dar KHwahishon ke uljhe jalon se lage

    manta hun doston ki saf mein shamil hai magar

    pahle jaisa ab nahin us ke sawalon se lage

    apni niyyat to hamesha saf rakhta hun magar

    Dar mujhe kuchh doston ki maKHfi chaalon se lage

    us ne jo wa'da kiya hai milne aaega zarur

    muztarib sa jo mujhe be-kal KHayalon se lage

    jaane kab se koi bhi rahne nahin aaya yahan

    mujh ko aisa ghar ke sab bosida talon se lage

    saqiya kya hai milaya baada-e-pur-josh mein

    aag si tan mein tere in mai-piyalon se lage

    main to raaton ke andheron mein bhi shadan hun 'shahab'

    sath hain kuchh log jin ko Dar ujalon se lage

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now