tarshe hue gulab ke paikar ko kya likhun
tarshe hue gulāb ke paikar ko kyā likhūñ
kāñTe mujhe batā.eñ gul-e-tar ko kyā likhūñ
hariyāliyoñ kī fasl hai mahrūmiyoñ ke din
sabza huī zamīn to banjar ko kyā likhūñ
hoñToñ kī narmiyoñ pe vo lahje kī saḳhtiyāñ
likhkhūñ use gulāb to patthar ko kyā likhūñ
jab muñh ke bol siine meñ nashtar chubho ga.e
maiñ sochtā huuñ haath ke ḳhanjar ko kyā likhūñ
saaya kahāñ se aa.e ki dīvār bhī nahīñ
āvārgī ke 'ahd meñ be-ghar ko kyā likhūñ
chhoTe baḌe kā farq zarūrī sahī magar
ik buuñd hī bahut hai samundar ko kyā likhūñ
jab niiñd aa.ī haath ko takiya banā liyā
maiñ aise bādshāh ke bistar ko kyā likhūñ
tarshe hue gulab ke paikar ko kya likhun
kanTe mujhe bataen gul-e-tar ko kya likhun
hariyaliyon ki fasl hai mahrumiyon ke din
sabza hui zamin to banjar ko kya likhun
honTon ki narmiyon pe wo lahje ki saKHtiyan
likhkhun use gulab to patthar ko kya likhun
jab munh ke bol sine mein nashtar chubho gae
main sochta hun hath ke KHanjar ko kya likhun
saya kahan se aae ki diwar bhi nahin
aawargi ke 'ahd mein be-ghar ko kya likhun
chhoTe baDe ka farq zaruri sahi magar
ek bund hi bahut hai samundar ko kya likhun
jab nind aai hath ko takiya bana liya
main aise baadshah ke bistar ko kya likhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.