tarz-e-suKHan mein aap ke ho inkisar bhi
tarz-e-suḳhan meñ aap ke ho inkisār bhī
rakhiye magar nigāh meñ apnā vaqār bhī
hai irtibāt meñ bhī takalluf kī ik jhalak
ye kyā ki ġhairiyat bhī hai aur ham se pyaar bhī
tere sabab ḳhizāñ kā thā mausam bhī ḳhush-gavār
be-lutf tere bin hai ye fasl-e-bahār bhī
vo jis kī yaad bā'is-e-taskīn-e-qalb hai
us ne hī mujh ko baḳhshā hai ik intishār bhī
aise bhī daur aa.e ta'alluq kī raah meñ
rasm-e-ta'alluqāt meñ khīñche hisār bhī
vā'da na aap karte agar iltifāt kā
hargiz hamāre dil ko na aatā qarār bhī
ik din havā-e-vaqt kā badlegā ḳhud mizāj
ummīd rakh chhuTegā ye ġham kā ġhubār bhī
daur-e-jadīd par bhī ho she'roñ meñ tabsira
fikr-e-suḳhan meñ lā.iye ab kuchh nikhār bhī
'ġhālib' kā rang aap ke she'roñ se ho 'ayāñ
ġhazloñ meñ rakhiye 'mīr' kā 'shāriq' shi'ār bhī
tarz-e-suKHan mein aap ke ho inkisar bhi
rakhiye magar nigah mein apna waqar bhi
hai irtibaat mein bhi takalluf ki ek jhalak
ye kya ki ghairiyat bhi hai aur hum se pyar bhi
tere sabab KHizan ka tha mausam bhi KHush-gawar
be-lutf tere bin hai ye fasl-e-bahaar bhi
wo jis ki yaad ba'is-e-taskin-e-qalb hai
us ne hi mujh ko baKHsha hai ek intishaar bhi
aise bhi daur aae ta'alluq ki rah mein
rasm-e-ta'alluqat mein khinche hisar bhi
wa'da na aap karte agar iltifat ka
hargiz hamare dil ko na aata qarar bhi
ek din hawa-e-waqt ka badlega KHud mizaj
ummid rakh chhuTega ye gham ka ghubar bhi
daur-e-jadid par bhi ho she'ron mein tabsira
fikr-e-suKHan mein laiye ab kuchh nikhaar bhi
'ghaalib' ka rang aap ke she'ron se ho 'ayan
ghazlon mein rakhiye 'mir' ka 'shaariq' shi'ar bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.