tarz mere rizq ki thoDi badal jaane ke baad
tarz mere rizq kī thoḌī badal jaane ke ba.ad
ibtidā kartā huuñ din kī din ke Dhal jaane ke ba.ad
phir chalī jaatī hai dariyā kī khulī āġhosh meñ
mauj-e-sāhil par khaḌī do-pal machal jaane ke ba.ad
maiñ yuuñ hī us ko bhulā dene ke dhoke meñ rahā
dil hī meñ thā vo mire dil se nikal jaane ke ba.ad
kaam apnā muñh añdhere ḳhatm kar letī hai raat
ik siyāhī sub.h ke chehre pe mal jaane ke ba.ad
ghūmne phirne de us ko ik udāsī meñ abhī
ḳhud haqīqat jaan legā kuchh sambhal jaane ke ba.ad
mo.ajiza fan kā yahī hai aur yahī merā kamāl
phir se jī uThtā huuñ ik ātish meñ jal jaane ke ba.ad
rok rakkhā hai mujhe 'shāhīñ' zamistāñ ne kahīñ
chal paḌūñgā barf thoḌī sī pighal jaane ke ba.ad
tarz mere rizq ki thoDi badal jaane ke baad
ibtida karta hun din ki din ke Dhal jaane ke baad
phir chali jati hai dariya ki khuli aaghosh mein
mauj-e-sahil par khaDi do-pal machal jaane ke baad
main yun hi us ko bhula dene ke dhoke mein raha
dil hi mein tha wo mere dil se nikal jaane ke baad
kaam apna munh andhere KHatm kar leti hai raat
ek siyahi subh ke chehre pe mal jaane ke baad
ghumne phirne de us ko ek udasi mein abhi
KHud haqiqat jaan lega kuchh sambhal jaane ke baad
moajiza fan ka yahi hai aur yahi mera kamal
phir se ji uThta hun ek aatish mein jal jaane ke baad
rok rakkha hai mujhe 'shahin' zamistan ne kahin
chal paDunga barf thoDi si pighal jaane ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.