tasalli de ke bahlaya gaya hun
tasallī de ke bahlāyā gayā huuñ
sukūñ kī raah par laayā gayā huuñ
adam se jānib-e-gulzār-e-hastī
maiñ ḳhud aayā nahīñ laayā gayā huuñ
kaḌī manzil adam kī hai isī se
yahāñ dam bhar ko Thahrāyā gayā huuñ
haqīqat kā huā hai bol-bālā
maiñ jab suulī pe laTkāyā gayā huuñ
haqīqat se maiñ afsāna banā kar
har ik mahfil meñ dohrāyā gayā huuñ
ḳhudā ma.alūm un kī anjuman se
maiñ ḳhud uTThā ki uThvāyā gayā huuñ
'riyāz' apnā thā sheva gul-parastī
magar kāñToñ meñ uljhāyā gayā huuñ
tasalli de ke bahlaya gaya hun
sukun ki rah par laya gaya hun
adam se jaanib-e-gulzar-e-hasti
main KHud aaya nahin laya gaya hun
kaDi manzil adam ki hai isi se
yahan dam bhar ko Thahraya gaya hun
haqiqat ka hua hai bol-baala
main jab suli pe laTkaya gaya hun
haqiqat se main afsana bana kar
har ek mahfil mein dohraya gaya hun
KHuda malum un ki anjuman se
main KHud uTTha ki uThwaya gaya hun
'riyaz' apna tha shewa gul-parasti
magar kanTon mein uljhaya gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.