tasanno ki jhalak shamil hai jis ki parsai mein
tasanño kī jhalak shāmil hai jis kī pārsā.ī meñ
pareshāñ-hāl vo rahtā hai apnī ḳhud-numā.ī meñ
karishma dekhiye tahzīb-e-nau kī rang-raliyoñ kā
kisī bachche kā dil lagtā nahīñ hai ab paḌhā.ī meñ
dahal jaatā thā dushman kā kaleja dekh kar jis ko
vo millat ab nazar aatī kahāñ hai bhaa.ī bhaa.ī meñ
mirī ġhazloñ ko aksar vo maza le le ke paḌhtā hai
ġhazal kahtā huuñ maiñ jis be-vafā kī bevafā.ī meñ
sunā hai ai 'zakī' tum bhī mahārat ḳhuub rakhte ho
zabāñ kī sādgī meñ aur lahje kī safā.ī meñ
tasanno ki jhalak shamil hai jis ki parsai mein
pareshan-haal wo rahta hai apni KHud-numai mein
karishma dekhiye tahzib-e-nau ki rang-raliyon ka
kisi bachche ka dil lagta nahin hai ab paDhai mein
dahal jata tha dushman ka kaleja dekh kar jis ko
wo millat ab nazar aati kahan hai bhai bhai mein
meri ghazlon ko aksar wo maza le le ke paDhta hai
ghazal kahta hun main jis be-wafa ki bewafai mein
suna hai ai 'zaki' tum bhi mahaarat KHub rakhte ho
zaban ki sadgi mein aur lahje ki safai mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.