tasawwur kahkashan hota nahin hai
tasavvur kahkashāñ hotā nahīñ hai
to ab mujh se bayāñ hotā nahīñ hai
taḌap merī jabīñ kī baḌh ga.ī hai
magar tū āstāñ hotā nahīñ hai
mirī qismat meñ hai jaltā sitāra
bikhar ke jo dhuāñ hotā nahīñ hai
mirī sāñsoñ meñ tū aTkā huā hai
tabī.at meñ ravāñ hotā nahīñ hai
ḳhushī ab bhī mujhe hotī hai lekin
vo pahlā sā samāñ hotā nahīñ hai
vo dariyā hai jahāñ ik baar guzre
vo rasta be-nishāñ hotā nahīñ hai
maiñ us ke saath chaltī jā rahī huuñ
jo merā kārvāñ hotā nahīñ hai
tujhe ashkoñ meñ maiñ kaise bahā duuñ
tū mujh se rā.egāñ hotā nahīñ hai
mire lafzoñ meñ hai zāhir magar tū
nigāhoñ se ayaañ hotā nahīñ hai
tasawwur kahkashan hota nahin hai
to ab mujh se bayan hota nahin hai
taDap meri jabin ki baDh gai hai
magar tu aastan hota nahin hai
meri qismat mein hai jalta sitara
bikhar ke jo dhuan hota nahin hai
meri sanson mein tu aTka hua hai
tabiat mein rawan hota nahin hai
KHushi ab bhi mujhe hoti hai lekin
wo pahla sa saman hota nahin hai
wo dariya hai jahan ek bar guzre
wo rasta be-nishan hota nahin hai
main us ke sath chalti ja rahi hun
jo mera karwan hota nahin hai
tujhe ashkon mein main kaise baha dun
tu mujh se raegan hota nahin hai
mere lafzon mein hai zahir magar tu
nigahon se ayan hota nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.