tasawwur ko surat mein laya gaya hai
tasawwur ko surat mein laya gaya hai
Raj Kumari Suraj Kala Sarwar
MORE BYRaj Kumari Suraj Kala Sarwar
tasavvur ko sūrat meñ laaya gayā hai
jo parda thā haa.il uThāyā gayā hai
fareb-e-nazar kī haiñ rañgīniyāñ sab
jo kasrat ko vahdat meñ paaya gayā hai
durūn-e-makāñ ik makīñ kā na milnā
yahī raaz thā jo chhupāyā gayā hai
dhuāñ dil se uTThe to ye jaan lenā
charāġh-e-sahar thā bujhāyā gayā hai
ik āvāz hai rahzan-e-hosh-o-tamkīñ
koī raag is dhun pe gaayā gayā hai
ye kākul bhī sargoshiyāñ kar rahā hai
ise kis liye sar chaḌhāyā gayā hai
ġhazal kahne kī taab kis meñ thī 'sarvar'
jo thā dil meñ vo lab pe laayā gayā hai
tasawwur ko surat mein laya gaya hai
jo parda tha hail uThaya gaya hai
fareb-e-nazar ki hain ranginiyan sab
jo kasrat ko wahdat mein paya gaya hai
durun-e-makan ek makin ka na milna
yahi raaz tha jo chhupaya gaya hai
dhuan dil se uTThe to ye jaan lena
charagh-e-sahar tha bujhaya gaya hai
ek aawaz hai rahzan-e-hosh-o-tamkin
koi rag is dhun pe gaya gaya hai
ye kakul bhi sargoshiyan kar raha hai
ise kis liye sar chaDhaya gaya hai
ghazal kahne ki tab kis mein thi 'sarwar'
jo tha dil mein wo lab pe laya gaya hai
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 171)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.