tasawwur mein tere jab Dub jata hun
tasavvur meñ tire jab Duub jaatā huuñ
kabhī dariyā kabhī sahrā meñ aatā huuñ
tire ehsās ko paane kī shiddat meñ
ḳhayāloñ meñ na.ī duniyā basātā huuñ
ujāle darmiyāñ rah kar bhī jān-e-man
akelā aur tanhā ḳhud ko paatā huuñ
lagā kar daav par phir zindagī apnī
juārī ban muqaddar āzmātā huuñ
jafāoñ ke bhare pur-ḳhār gulshan meñ
vafāoñ chāhatoñ kā ghar banātā huuñ
'anīs' aa ke mire armān pur kar de
diye sā jagmagātā TimTimātā huuñ
tasawwur mein tere jab Dub jata hun
kabhi dariya kabhi sahra mein aata hun
tere ehsas ko pane ki shiddat mein
KHayalon mein nai duniya basata hun
ujale darmiyan rah kar bhi jaan-e-man
akela aur tanha KHud ko pata hun
laga kar daw par phir zindagi apni
juari ban muqaddar aazmata hun
jafaon ke bhare pur-KHar gulshan mein
wafaon chahaton ka ghar banata hun
'anis' aa ke mere arman pur kar de
diye sa jagmagata TimTimata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.