tashaffi-baKHsh hai KHud be-qarari be-qararon ki
tashaffi-baKHsh hai KHud be-qarari be-qararon ki
Sarahat Ahmad Sarahat
MORE BYSarahat Ahmad Sarahat
tashaffī-baḳhsh hai ḳhud be-qarārī be-qarāroñ kī
mohabbat kī 'atā hai har masarrat ġham ke māroñ kī
nashāt-e-zindagī insāñ kī gar be-lutf ho jaa.e
agar khul jaa.e duniyā par haqīqat ġham ke māroñ kī
ravābit bhī barābar kaam karte haiñ sahāroñ kā
kināroñ tak hameñ le jā.egī nisbat kināroñ kī
ḳhitāb-e-be-sadā kahte haiñ un ke har ishāre ko
ka.ī tafsīreñ ho saktī haiñ ab un ke ishāroñ kī
guloñ se ḳhaar bhī lipTe hue rahte haiñ gulshan meñ
ḳhizāñ kī parvarish hotī hai dāman meñ bahāroñ kī
tashaffi-baKHsh hai KHud be-qarari be-qararon ki
mohabbat ki 'ata hai har masarrat gham ke maron ki
nashat-e-zindagi insan ki gar be-lutf ho jae
agar khul jae duniya par haqiqat gham ke maron ki
rawabit bhi barabar kaam karte hain sahaaron ka
kinaron tak hamein le jaegi nisbat kinaron ki
KHitab-e-be-sada kahte hain un ke har ishaare ko
kai tafsiren ho sakti hain ab un ke ishaaron ki
gulon se KHar bhi lipTe hue rahte hain gulshan mein
KHizan ki parwarish hoti hai daman mein bahaaron ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.