tashkik ke dhaare nae nae auham ki nadiyan nai nai
tashkik ke dhaare nae nae auham ki nadiyan nai nai
Meer Syed Muzaffar Ali Zafar Muzahri
MORE BYMeer Syed Muzaffar Ali Zafar Muzahri
tashkīk ke dhāre na.e na.e auhām kī nadiyāñ na.ī na.ī
Dūbeñge jazīre maazī ke ubhreñgī sadiyāñ na.ī na.ī
kuchh ranj nahīñ ākāsh pe gar ab zulm kī badlī chhā.ī hai
chhā.eñge masarrat ke bādal ā.eñgī ḳhushiyāñ na.ī na.ī
ye bhī sach hai ki sehn-e-chaman meñ aaj ravāñ hai bād-e-sumūm
phūTeñge shagūfe na.e na.e mahkeñgī kaliyāñ na.ī na.ī
taslīm hamārī rāhoñ meñ bātil ne rukāvaT Daalī hai
nikleñge raste na.e na.e nikleñgī galiyāñ na.ī na.ī
is daur-e-taraqqī meñ hai 'zafar' baada bhī nayā sāġhar bhī na.e
haiñ qais na.e gulfām na.e haiñ nīlam-pariyāñ na.ī na.ī
tashkik ke dhaare nae nae auham ki nadiyan nai nai
Dubenge jazire mazi ke ubhrengi sadiyan nai nai
kuchh ranj nahin aakash pe gar ab zulm ki badli chhai hai
chhaenge masarrat ke baadal aaengi KHushiyan nai nai
ye bhi sach hai ki sehn-e-chaman mein aaj rawan hai baad-e-sumum
phuTenge shagufe nae nae mahkengi kaliyan nai nai
taslim hamari rahon mein baatil ne rukawaT Dali hai
niklenge raste nae nae niklengi galiyan nai nai
is daur-e-taraqqi mein hai 'zafar' baada bhi naya saghar bhi nae
hain qais nae gulfam nae hain nilam-pariyan nai nai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.