tashna faza-e-subh-e-chaman mein KHumar hai
'tashna' fazā-e-sub.h-e-chaman meñ ḳhumār hai
lekin jo dil kī baat karūñ be-qarār hai
phūloñ ke surḳh Dher ke pīchhe hai tez teġh
yūsuf ke bhā.iyoñ kā kahāñ e'tibār hai
gardish kā āsmān hai shorish kī ḳhaak par
aadam tirī zamīñ pe bahut sogvār hai
logoñ se rabt zabt hai duniyā se ittifāq
shāyad ye apne aap se merā farār hai
shikva kareñge ham na taġhāful-shi.ār kā
mahfil meñ kam-suḳhan kā ziyāda vaqār hai
tāroñ kī sair-gāh se us kā pukārnā
mujh ko ajiib vahm hai aur baar baar hai
'tashna' kabhī to baiTh ke un se kalām kar
kyoñ tujh ko ḳhāmushī se batā itnā pyaar hai
'tashna' faza-e-subh-e-chaman mein KHumar hai
lekin jo dil ki baat karun be-qarar hai
phulon ke surKH Dher ke pichhe hai tez tegh
yusuf ke bhaiyon ka kahan e'tibar hai
gardish ka aasman hai shorish ki KHak par
aadam teri zamin pe bahut sogwar hai
logon se rabt zabt hai duniya se ittifaq
shayad ye apne aap se mera farar hai
shikwa karenge hum na taghaful-shiar ka
mahfil mein kam-suKHan ka ziyaada waqar hai
taron ki sair-gah se us ka pukarna
mujh ko ajib wahm hai aur bar bar hai
'tashna' kabhi to baiTh ke un se kalam kar
kyon tujh ko KHamushi se bata itna pyar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.