tasht mein dhup ke har-samt zamin hai raushan
Interesting Fact
Beesvin Sadi' (June, 2006)
tasht meñ dhuup ke har-samt zamīñ hai raushan
jagmagātā hai makāñ aur makīñ hai raushan
murġh-o-māhī ke bayāñ se na gurezāñ rahnā
ḳhvān par garche abhī nān-e-javīñ hai raushan
bosa dete hue patthar ko qadam tez karo
darmiyāñ sañg ke ik shahr-e-nagīñ hai raushan
bazm-e-yārāñ meñ machī dhuum ne zulmat likkhī
narm lahje meñ koī gosha-nashīñ hai raushan
raat ke sar pe hai ujlā sā dupaTTa 'ja.afar'
ho na ho sehn-e-mohabbat bhī kahīñ hai raushan
tasht mein dhup ke har-samt zamin hai raushan
jagmagata hai makan aur makin hai raushan
murgh-o-mahi ke bayan se na gurezan rahna
KHwan par garche abhi nan-e-jawin hai raushan
bosa dete hue patthar ko qadam tez karo
darmiyan sang ke ek shahr-e-nagin hai raushan
bazm-e-yaran mein machi dhum ne zulmat likkhi
narm lahje mein koi gosha-nashin hai raushan
raat ke sar pe hai ujla sa dupaTTa 'jafar'
ho na ho sehn-e-mohabbat bhi kahin hai raushan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.