taskin bas ana ki kiye ja rahe hain aap
taskīn bas anā kī kiye jā rahe haiñ aap
ham se bichhaḌ ke boliye kyā pā rahe haiñ aap
zāhir meñ 'ishq ham se to farmā rahe haiñ aap
bātin meñ pūchhiye to sitam Dhā rahe haiñ aap
yādoñ ko dafn kar chuke maazī kī qabr meñ
bāteñ purānī darmiyāñ kyoñ lā rahe haiñ aap
masrūfiyat thī aap se yuuñ mil nahīñ sake
afvāh kyoñ bichhaḌne kī phailā rahe haiñ aap
ummīd fasl-e-gul kī fazāoñ ko ho ga.ī
gulshan ko apnī ḳhushbū se bahkā rahe haiñ aap
duniyā meñ aur bhī haiñ ka.ī mas.ale magar
uljhī huī laToñ ko hī suljhā rahe haiñ aap
vā'da kiyā kisī se nibhāyā nahīñ kabhī
vā'doñ se hī 'amit' ko bhī bahlā rahe haiñ aap
taskin bas ana ki kiye ja rahe hain aap
hum se bichhaD ke boliye kya pa rahe hain aap
zahir mein 'ishq hum se to farma rahe hain aap
baatin mein puchhiye to sitam Dha rahe hain aap
yaadon ko dafn kar chuke mazi ki qabr mein
baaten purani darmiyan kyon la rahe hain aap
masrufiyat thi aap se yun mil nahin sake
afwah kyon bichhaDne ki phaila rahe hain aap
ummid fasl-e-gul ki fazaon ko ho gai
gulshan ko apni KHushbu se bahka rahe hain aap
duniya mein aur bhi hain kai masale magar
uljhi hui laTon ko hi suljha rahe hain aap
wa'da kiya kisi se nibhaya nahin kabhi
wa'don se hi 'amit' ko bhi bahla rahe hain aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.