taskin na mujhko rahm na lafz-e-du’a se thi
taskīñ na mujh ko rahm na lafz-e-du’ā se thī
jo mujh gunāh-gār ko kār-e-sazā se thī
us se bichhaḌ rahā huuñ to kyuuñ ro rahā huuñ maiñ
is baat kī ḳhabar to mujhe ibtidā se thī
ab ke bachā sakī na mirī ḳhāmushī mujhe
is baar merī jang mire ham-navā se thī
phir ham ne bār-e-ġham ko muqaddar samajh liyā
kuchh roz tak hameñ bhī shikāyat ḳhudā se thī
charchā bahut hai jis ke taġhāful kā shahr meñ
apnī bhī to murād usī bevafā se thī
hijr-o-visāl donoñ hī shartoñ meñ tai thī maut
ham the charāġh ham ko mohabbat havā se thī
taskin na mujh ko rahm na lafz-e-du’a se thi
jo mujh gunah-gar ko kar-e-saza se thi
us se bichhaD raha hun to kyun ro raha hun main
is baat ki KHabar to mujhe ibtida se thi
ab ke bacha saki na meri KHamushi mujhe
is bar meri jang mere ham-nawa se thi
phir hum ne bar-e-gham ko muqaddar samajh liya
kuchh roz tak hamein bhi shikayat KHuda se thi
charcha bahut hai jis ke taghaful ka shahr mein
apni bhi to murad usi bewafa se thi
hijr-o-visal donon hi sharton mein tai thi maut
hum the charagh hum ko mohabbat hawa se thi
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 24)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.