taswir-e-iztirab sarapa bana hua
tasvīr-e-iztirāb sarāpā banā huā
phirtā huuñ shahr shahr unheñ DhūñDhtā huā
ik dard aur vo bhī kisī kā diyā huā
itnā baḌhā ki aap hī apnī davā huā
mil kar bichhaḌ gayā thā koī jis maqām par
ab tak usī maqām pe huuñ chup khaḌā huā
jaise use ḳhabar thī mire hāl-e-zār kī
guzrā vo is adā se mujhe dekhtā huā
jin hādsāt-e-dahr se bach kar chalā thā maiñ
har gaam par unhīñ kā mujhe sāmnā huā
yuuñ be-dilī ke saath sunā ham ne 'kāzmī'
jaise thā kuchh fasāna-e-hastī sunā huā
taswir-e-iztirab sarapa bana hua
phirta hun shahr shahr unhen DhunDhta hua
ek dard aur wo bhi kisi ka diya hua
itna baDha ki aap hi apni dawa hua
mil kar bichhaD gaya tha koi jis maqam par
ab tak usi maqam pe hun chup khaDa hua
jaise use KHabar thi mere haal-e-zar ki
guzra wo is ada se mujhe dekhta hua
jin hadsat-e-dahr se bach kar chala tha main
har gam par unhin ka mujhe samna hua
yun be-dili ke sath suna hum ne 'kazmi'
jaise tha kuchh fasana-e-hasti suna hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.