taswir-e-masarrat hai ki gham khoe hue hain
tasvīr-e-masarrat hai ki ġham kho.e hue haiñ
kuchh ashk sar-e-dīda-e-nam kho.e hue haiñ
mil kar bhī judā rahnā hai taqdīr-e-mohabbat
vo sāmne aa.e haiñ to ham kho.e hue haiñ
haiñ zaḳhm-e-jigar mahv-e-munājāt-e-mohabbat
yā zikr-e-ilāhī meñ sanam kho.e hue haiñ
is vaqt na pā.egī hameñ gardish-e-daurāñ
is vaqt tirī yaad meñ ham kho.e hue haiñ
in jāgtī āñkhoñ meñ sulagte haiñ abhī tak
kuchh ḳhvāb jo ḳhud apnā bharam kho.e hue haiñ
ḳhud se bhī mulāqāt nahīñ tujh se bichhaḌ kar
ham bhī tirī yādoñ kī qasam kho.e hue haiñ
hai koī jo aa kar tire kūche kā pata de
kuchh log sar-e-dair-o-haram kho.e hue haiñ
ehsās ko alfāz kā paikar nahīñ miltā
tahrīr kī vaadī meñ qalam kho.e hue haiñ
ab dil meñ nahīñ 'badr' koī naqsh-e-tamannā
saa.e pas-e-dīvār-e-haram kho.e hue haiñ
taswir-e-masarrat hai ki gham khoe hue hain
kuchh ashk sar-e-dida-e-nam khoe hue hain
mil kar bhi juda rahna hai taqdir-e-mohabbat
wo samne aae hain to hum khoe hue hain
hain zaKHm-e-jigar mahw-e-munajat-e-mohabbat
ya zikr-e-ilahi mein sanam khoe hue hain
is waqt na paegi hamein gardish-e-dauran
is waqt teri yaad mein hum khoe hue hain
in jagti aankhon mein sulagte hain abhi tak
kuchh KHwab jo KHud apna bharam khoe hue hain
KHud se bhi mulaqat nahin tujh se bichhaD kar
hum bhi teri yaadon ki qasam khoe hue hain
hai koi jo aa kar tere kuche ka pata de
kuchh log sar-e-dair-o-haram khoe hue hain
ehsas ko alfaz ka paikar nahin milta
tahrir ki wadi mein qalam khoe hue hain
ab dil mein nahin 'badr' koi naqsh-e-tamanna
sae pas-e-diwar-e-haram khoe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.