taswir ke KHutut wo shahkar bolte
tasvīr ke ḳhutūt vo shahkār bolte
sab naqsh-hā-e-san.at-e-me.amār bolte haiñ
ham shīsh ghar meñ apnā sarāpā na paḌh sake
hasrat rahī ki aa.ine ik baar bolte
tanhā.ī ko milā hai vo e.ajāz-e-dard hai
zindāñ ke dekhiye dar-o-dīvār bolte
kyā kyā na ghar jamāl ke ābād the yahāñ
kis dukh se shahr-e-vīrāñ ke āsār bolte
har baat meñ uThātā thā vo nuqta-e-gumāñ
ham kyā the koī mahram-e-asrār bolte
chup kartī terī be-dilī kyā 'azm' nāloñ ko
rahte jo ham ḳhamosh to ash.ār bolte
taswir ke KHutut wo shahkar bolte
sab naqsh-ha-e-sanat-e-meamar bolte hain
hum shish ghar mein apna sarapa na paDh sake
hasrat rahi ki aaine ek bar bolte
tanhai ko mila hai wo eajaz-e-dard hai
zindan ke dekhiye dar-o-diwar bolte
kya kya na ghar jamal ke aabaad the yahan
kis dukh se shahr-e-viran ke aasar bolte
har baat mein uThata tha wo nuqta-e-guman
hum kya the koi mahram-e-asrar bolte
chup karti teri be-dili kya 'azm' nalon ko
rahte jo hum KHamosh to ashaar bolte
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 419)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.