taswir ki thoDi si wazahat hi to ki hai
tasvīr kī thoḌī sī vazāhat hī to kī hai
har baat musavvir ne kahāñ ham se kahī hai
ho is ko miTāne meñ use kaisā ta.ammul
duniyā ye bhalā kaun sā mushkil se banī hai
mashkīza-e-hastī pe bahut tiir lage haiñ
aur chāroñ taraf tishna-labī tishna-labī hai
āġhāz bhī mujh se hai aur anjām bhī mujh par
duniyā mirī ham-‘umr hai chhoTī na baḌī hai
bas ek vo inkār purānā hai salāmat
baaqī to mire shahr meñ har chiiz na.ī hai
ik ḳhvāb thā terā jo mirī le gayā āñkheñ
ik yaad hai terī jo galā ghoñT rahī hai
bas she'r sunāne kī hameñ dī hai ijāzat
us ne hameñ rone kī suhūlat kahāñ dī hai
taswir ki thoDi si wazahat hi to ki hai
har baat musawwir ne kahan hum se kahi hai
ho is ko miTane mein use kaisa tammul
duniya ye bhala kaun sa mushkil se bani hai
mashkiza-e-hasti pe bahut tir lage hain
aur chaaron taraf tishna-labi tishna-labi hai
aaghaz bhi mujh se hai aur anjam bhi mujh par
duniya meri ham-‘umr hai chhoTi na baDi hai
bas ek wo inkar purana hai salamat
baqi to mere shahr mein har chiz nai hai
ek KHwab tha tera jo meri le gaya aankhen
ek yaad hai teri jo gala ghonT rahi hai
bas she'r sunane ki hamein di hai ijazat
us ne hamein rone ki suhulat kahan di hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.