taswir teri ai jaan-e-jahan sine se lagae phirta hun
taswir teri ai jaan-e-jahan sine se lagae phirta hun
Meer Syed Muzaffar Ali Zafar Muzahri
MORE BYMeer Syed Muzaffar Ali Zafar Muzahri
tasvīr tirī ai jān-e-jahāñ siine se lagā.e phirtā huuñ
hai aks farozāñ ḳhvāb sā kuchh palkoñ pe sajā.e phirtā huuñ
aatī hai halālī luqmoñ se jin jin pe ġhazab kī tābānī
un raushan raushan chehroñ ke maiñ saa.e saa.e phirtā huuñ
tasbīh ke daane kī sūrat maiñ vird ke raushan motī sā
tadbīr ke zarrīñ hāthoñ meñ taqdīr phirā.e phirtā huuñ
vasvās mirī tīnat hī nahīñ aur yaas mirī fitrat hī nahīñ
ummīd kī halkī jyotī ko āñkhoñ meñ jalā.e phirtā huuñ
hai manzil-e-haq firdaus 'zafar' bātil kā Thikāna nār-e-saqar
maiñ dar-dar ghar-ghar dāvat kā parcham ye uThā.e phirtā huuñ
taswir teri ai jaan-e-jahan sine se lagae phirta hun
hai aks farozan KHwab sa kuchh palkon pe sajae phirta hun
aati hai halali luqmon se jin jin pe ghazab ki tabani
un raushan raushan chehron ke main sae sae phirta hun
tasbih ke dane ki surat main wird ke raushan moti sa
tadbir ke zarrin hathon mein taqdir phirae phirta hun
waswas meri tinat hi nahin aur yas meri fitrat hi nahin
ummid ki halki jyoti ko aankhon mein jalae phirta hun
hai manzil-e-haq firdaus 'zafar' baatil ka Thikana nar-e-saqar
main dar-dar ghar-ghar dawat ka parcham ye uThae phirta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.