taswir wahi hai pas-e-taswir koi aur
tasvīr vahī hai pas-e-tasvīr koī aur
fankār navā-gar hai navāgīr koī aur
bas ḳhvāb hī dekhegā faqat dekhne vaalā
pā.egā magar ḳhvāb kī ta.abīr koī aur
ham log to shatranj ke mohroñ kī tarah haiñ
likhtā hai yahāñ shahr kī taqdīr koī aur
mafhūm badal jaatā hai alfāz kā har baar
likhtā huuñ to ban jaatī hai tahrīr koī aur
buniyād to shahkār kī rakkhī thī kisī ne
ab us pe imārat huī ta.amīr koī aur
har-chand ki tiryāq se matlūb hai tiryāq
is daur meñ hai zahr kī tāsīr koī aur
ham log tire dard ke bele meñ raheñge
le jā.egā sab husn kī jāgīr koī aur
jaatā huuñ kisī aur se milne ke bahāne
hotā hai mire paañv kī zanjīr koī aur
taswir wahi hai pas-e-taswir koi aur
fankar nawa-gar hai nawagir koi aur
bas KHwab hi dekhega faqat dekhne wala
paega magar KHwab ki tabir koi aur
hum log to shatranj ke mohron ki tarah hain
likhta hai yahan shahr ki taqdir koi aur
mafhum badal jata hai alfaz ka har bar
likhta hun to ban jati hai tahrir koi aur
buniyaad to shahkar ki rakkhi thi kisi ne
ab us pe imarat hui tamir koi aur
har-chand ki tiryaq se matlub hai tiryaq
is daur mein hai zahr ki tasir koi aur
hum log tere dard ke bele mein rahenge
le jaega sab husn ki jagir koi aur
jata hun kisi aur se milne ke bahane
hota hai mere panw ki zanjir koi aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.