taswir zindagi ki bana kar ghazal kahun
tasvīr zindagī kī banā kar ġhazal kahūñ
phir zindagī meñ ḳhud ko bhulā kar ġhazal kahūñ
ta.abīr-e-ġham hai aisā ye ḳhvāboñ kā shahr hai
kaise kisī ko ḳhvāb dikhā kar ġhazal kahūñ
har ik nazar meñ jāgte kitne savāl haiñ
kaise nazar kisī se milā kar ġhazal kahūñ
bhūke yatīm loriyāñ hī sun ke so ga.e
āñkhoñ meñ kyoñ na ashk sajā kar ġhazal kahūñ
koThoñ pe chaḌh ke raat pashemān ho ga.ī
phir kaise chāñdnī meñ nahā kar ġhazal kahūñ
vahshat-zada sā lagtā hai nīñdoñ kā shahr bhī
ḳhvāboñ ko apne ab maiñ sulā kar ġhazal kahūñ
tāsīr 'rāg' miltī hai sab ko nasīb se
hāthoñ ko ab duā meñ uThā kar ġhazal kahūñ
taswir zindagi ki bana kar ghazal kahun
phir zindagi mein KHud ko bhula kar ghazal kahun
tabir-e-gham hai aisa ye KHwabon ka shahr hai
kaise kisi ko KHwab dikha kar ghazal kahun
har ek nazar mein jagte kitne sawal hain
kaise nazar kisi se mila kar ghazal kahun
bhuke yatim loriyan hi sun ke so gae
aankhon mein kyon na ashk saja kar ghazal kahun
koThon pe chaDh ke raat pasheman ho gai
phir kaise chandni mein naha kar ghazal kahun
wahshat-zada sa lagta hai nindon ka shahr bhi
KHwabon ko apne ab main sula kar ghazal kahun
tasir 'rag' milti hai sab ko nasib se
hathon ko ab dua mein uTha kar ghazal kahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.