tauba se main KHajil ba-KHuda-e-karim tha
tauba se maiñ ḳhajil ba-ḳhudā-e-karīm thā
tark-e-gunāh bā.is-e-jurm-e-azīm thā
jannat kā thā ḳhayāl na ḳhauf-e-jahīm thā
banda qatīl-e-ḳhanjar-e-ummīd-o-bīm thā
huuñ vo shahīd qabr mirī chār-sū bane
thā jiite jī do-pāra jigar dil do-nīm thā
tifl-e-sarishk naam ko laḳht-e-jigar sahī
lekin palak se girte hī goyā yatīm thā
tiflī se thā tire ruḳh-o-zulf-o-dahan kā ishq
pahlā sabaq hamārā alif laam miim thā
sab dāman-e-hayā kī rahīñ lan-tarāniyāñ
merā ġhubār surma-e-chashm-e-kalīm thā
qātil khilā hai gulshan-e-zaḳhm-e-dil-o-jigar
shah-par meñ tere tiir ke faiz-e-nasīm thā
hotī namāz-e-qasr yahāñ kis tarah adā
vaa.iz maiñ but-kade meñ thā lekin muqīm thā
badlā na baḳht gardish-e-lail-o-nahār se
ham to yahī kaheñge ki aalam qadīm thā
suntā thā kaun terī galī meñ mirī fuġhāñ
har naqsh-e-pā ba-sūrat-e-gosh-e-samīm thā
Thokar na khāne dī hameñ sar phoḌnā kujā
'rāsiḳh' ye sach hai sang-e-dar-e-but la.iim thā
tauba se main KHajil ba-KHuda-e-karim tha
tark-e-gunah bais-e-jurm-e-azim tha
jannat ka tha KHayal na KHauf-e-jahim tha
banda qatil-e-KHanjar-e-ummid-o-bim tha
hun wo shahid qabr meri chaar-su bane
tha jite ji do-para jigar dil do-nim tha
tifl-e-sarishk nam ko laKHt-e-jigar sahi
lekin palak se girte hi goya yatim tha
tifli se tha tere ruKH-o-zulf-o-dahan ka ishq
pahla sabaq hamara alif lam mim tha
sab daman-e-haya ki rahin lan-taraniyan
mera ghubar surma-e-chashm-e-kalim tha
qatil khila hai gulshan-e-zaKHm-e-dil-o-jigar
shah-par mein tere tir ke faiz-e-nasim tha
hoti namaz-e-qasr yahan kis tarah ada
waiz main but-kade mein tha lekin muqim tha
badla na baKHt gardish-e-lail-o-nahaar se
hum to yahi kahenge ki aalam qadim tha
sunta tha kaun teri gali mein meri fughan
har naqsh-e-pa ba-surat-e-gosh-e-samim tha
Thokar na khane di hamein sar phoDna kuja
'rasiKH' ye sach hai sang-e-dar-e-but laim tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.