tauba-shikan KHumar tha umDe shabab ka
tauba-shikan ḳhumār thā umDe shabāb kā
phūloñ meñ jaise phuul shagufta gulāb kā
fankār ko salām shahanshāh kyoñ kare
zarroñ se vāsta hai kahāñ āftāb kā
gudḌī meñ phir lapeT ke laayā hai koī la.al
kyoñ be-hijāb ho gayā saudā hijāb kā
har sū fasādiyoñ ke havāle thiiñ bastiyāñ
mahshar bapā thā chaar sū qahr-o-azāb kā
qānūn par zavāl ki ġhusse meñ hai avaam
sho.ala bhaḌak na jaa.e kahīñ inqalāb kā
kyoñ ho rahe haiñ āg-bagūlā janāb-e-man
ham ne to mahz haal hī pūchhā janāb kā
'nayyar' kī har dalīl hai nā-qābil-e-qubūl
chheḌe na zikr koī gunāh-o-savāb kā
tauba-shikan KHumar tha umDe shabab ka
phulon mein jaise phul shagufta gulab ka
fankar ko salam shahanshah kyon kare
zarron se wasta hai kahan aaftab ka
gudDi mein phir lapeT ke laya hai koi lal
kyon be-hijab ho gaya sauda hijab ka
har su fasadiyon ke hawale thin bastiyan
mahshar bapa tha chaar su qahr-o-azab ka
qanun par zawal ki ghusse mein hai awam
shoala bhaDak na jae kahin inqalab ka
kyon ho rahe hain aag-bagula janab-e-man
hum ne to mahz haal hi puchha janab ka
'nayyar' ki har dalil hai na-qabil-e-qubul
chheDe na zikr koi gunah-o-sawab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.