tauba sitam se ki mujhe sina-figar dekh kar
tauba sitam se ki mujhe sina-figar dekh kar
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
tauba sitam se kī mujhe sīna-figār dekh kar
lo unheñ rahm aa gayā hālat-e-zār dekh kar
fart-e-ḳhushī se tā-sahar ġhuncha-e-dil hañsā kiyā
tere gale meñ shām-e-vasl phūloñ kā haar dekh kar
aur na koī bas chalā aur na kuchh bhī ho sakā
ro.e asīr-e-qaid-e-ġham josh-e-bahār dekh kar
ḳhauf-e-gunah nahīñ rahā dil ko phir aasrā milā
yād-e-karam bhī aa ga.ī roz-e-shumār dekh kar
Thokaroñ se miTā.egā koī agar nishān-e-qabr
ro.egī bekasī mirī kis kā mazār dekh kar
hosh-o-havās par girī barq-e-jamāl-e-dil-faroz
kuchh na rahī hameñ ḳhabar jalva-e-yār dekh kar
chādar-e-ġham paḌī huī sham-e-lahad bujhī huī
ahl-e-jahāñ haiñ chashm-e-nam merā mazār dekh kar
tauba ye koī baat hai apne kiye kī sharm se
un kī balā jhukā.e sar roz-e-shumār dekh kar
maut se yuuñ shab-e-alam ḳhush hue mubtalā-e-ġham
shaad ho jis tarah se yaar sūrat-e-yār dekh kar
tauba sitam se ki mujhe sina-figar dekh kar
lo unhen rahm aa gaya haalat-e-zar dekh kar
fart-e-KHushi se ta-sahar ghuncha-e-dil hansa kiya
tere gale mein sham-e-wasl phulon ka haar dekh kar
aur na koi bas chala aur na kuchh bhi ho saka
roe asir-e-qaid-e-gham josh-e-bahaar dekh kar
KHauf-e-gunah nahin raha dil ko phir aasra mila
yaad-e-karam bhi aa gai roz-e-shumar dekh kar
Thokaron se miTaega koi agar nishan-e-qabr
roegi bekasi meri kis ka mazar dekh kar
hosh-o-hawas par giri barq-e-jamal-e-dil-faroz
kuchh na rahi hamein KHabar jalwa-e-yar dekh kar
chadar-e-gham paDi hui sham-e-lahad bujhi hui
ahl-e-jahan hain chashm-e-nam mera mazar dekh kar
tauba ye koi baat hai apne kiye ki sharm se
un ki bala jhukae sar roz-e-shumar dekh kar
maut se yun shab-e-alam KHush hue mubtala-e-gham
shad ho jis tarah se yar surat-e-yar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.