tauq-e-gardan se na zanjir se ji Darta hai
Interesting Fact
6th June, 1958
tauq-e-gardan se na zanjīr se jī Dartā hai
haañ tirī zulf-e-girah-gīr se jī Dartā hai
dil to qaa.el hai tire lutf-o-karam kā lekin
apnī phūTī huī taqdīr se jī Dartā hai
aap kī chup se ulajhtī hai tabī.at aksar
aap kī shoḳhī-e-taqrīr se jī Dartā hai
kahīñ ye bhī na ho manshā-e-mashiyyat ke ḳhilāf
ab to har sa.ī se tadbīr se jī Dartā hai
pahle jo harf ba-sad-shauq zabāñ par aayā
ab usī harf kī tafsīr se jī Dartā hai
muñh se bole na kabhī sar se jo khele na kabhī
tujh se baḌh kar tirī tasvīr se jī Dartā hai
is kā anjām bhī āḳhir kahīñ taḳhrīb na ho
is liye har na.ī ta.amīr se jī Dartā hai
pahle kuchh ḳhvāb the aise ki the dahshat kā sabab
ab to har ḳhvāb kī ta.abīr se jī Dartā hai
umr kī umr gunāhoñ meñ basar kar Daalī
aur ab aap kā ta.azīr se jī Dartā hai
sabr paḌ jaa.e na tujh par kahīñ mazlūmoñ kā
un kī fariyād kī tāsīr se jī Dartā hai
is ke parde meñ baḌī tīrgiyāñ haiñ 'tālib'
is liye kasrat-e-tanvīr se jī Dartā hai
tauq-e-gardan se na zanjir se ji Darta hai
han teri zulf-e-girah-gir se ji Darta hai
dil to qael hai tere lutf-o-karam ka lekin
apni phuTi hui taqdir se ji Darta hai
aap ki chup se ulajhti hai tabiat aksar
aap ki shoKHi-e-taqrir se ji Darta hai
kahin ye bhi na ho mansha-e-mashiyyat ke KHilaf
ab to har sai se tadbir se ji Darta hai
pahle jo harf ba-sad-shauq zaban par aaya
ab usi harf ki tafsir se ji Darta hai
munh se bole na kabhi sar se jo khele na kabhi
tujh se baDh kar teri taswir se ji Darta hai
is ka anjam bhi aaKHir kahin taKHrib na ho
is liye har nai tamir se ji Darta hai
pahle kuchh KHwab the aise ki the dahshat ka sabab
ab to har KHwab ki tabir se ji Darta hai
umr ki umr gunahon mein basar kar Dali
aur ab aap ka tazir se ji Darta hai
sabr paD jae na tujh par kahin mazlumon ka
un ki fariyaad ki tasir se ji Darta hai
is ke parde mein baDi tirgiyan hain 'talib'
is liye kasrat-e-tanwir se ji Darta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.