tauqir-e-eatibar-e-wafa aur baDh gai
tauqīr-e-e.atibār-e-vafā aur baḌh ga.ī
lutf-o-karam ke saath sazā aur baḌh ga.ī
dil be-niyāz-e-chāra-e-āzār ho gayā
kuchh ārzū-e-teġh-e-jafā aur baḌh ga.ī
jab bhī hue haiñ jāda-o-manzil ke tazkire
dīvāngī-e-ahl-e-vafā aur baḌh ga.ī
ye iltifāt-e-nāz bahut ḳhuub hai magar
dil kah rahā hai terī jafā aur baḌh ga.ī
dekhā hai bār-bār ki fasl-e-bahār meñ
vīrānī-e-chaman kī fazā aur baḌh ga.ī
ai intizār-e-sub.h-e-tarab terī aabrū
ġham ke tufail nām-e-ḳhudā aur baḌh ga.ī
mahbūb sā ḳhayāl kisī kā jab aa gayā
ummīd ke ufuq kī ziyā aur baḌh ga.ī
aksar tirī ināyat-e-paiham ke bāvajūd
mahsūs ye huā ki jafā aur baḌh ga.ī
'azmat' kisī ke dard kā aaya hai jab payām
kuchh raushnī-e-fikr-e-rasā aur baḌh ga.ī
tauqir-e-eatibar-e-wafa aur baDh gai
lutf-o-karam ke sath saza aur baDh gai
dil be-niyaz-e-chaara-e-azar ho gaya
kuchh aarzu-e-tegh-e-jafa aur baDh gai
jab bhi hue hain jada-o-manzil ke tazkire
diwangi-e-ahl-e-wafa aur baDh gai
ye iltifat-e-naz bahut KHub hai magar
dil kah raha hai teri jafa aur baDh gai
dekha hai bar-bar ki fasl-e-bahaar mein
virani-e-chaman ki faza aur baDh gai
ai intizar-e-subh-e-tarab teri aabru
gham ke tufail nam-e-KHuda aur baDh gai
mahbub sa KHayal kisi ka jab aa gaya
ummid ke ufuq ki ziya aur baDh gai
aksar teri inayat-e-paiham ke bawajud
mahsus ye hua ki jafa aur baDh gai
'azmat' kisi ke dard ka aaya hai jab payam
kuchh raushni-e-fikr-e-rasa aur baDh gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.