taur bigDe hain nigah-e-husn-e-alamgir ke
taur bigḌe haiñ nigāh-e-husn-e-ālamgīr ke
kyūñki ab jauhar khule haiñ aah kī tāsīr ke
vo bhulā sakte nahīñ merī vafāoñ ko kabhī
naqsh hote haiñ diloñ par shoḳhi-e-tahrīr ke
kahkashāñ qaus-e-quzah gul najm ḳhurshīd-o-qamar
aks haiñ ye bhī tumhāre husn kī tanvīr ke
ab nahīñ samjhe to kab samjheñge taur-e-dard-e-dil
aise hī hote haiñ tevar maut kī tasvīr ke
ishq kī fitrat hī jab minjumla-e-āfāt hai
kis liye shikve kareñ ham kātib-e-taqdīr ke
kuchh tabassum bhī vahī hai kuchh takallum bhī vahī
paa.e haiñ andāz ġhunchoñ ne tirī ta.amīr ke
rā.egāñ jaatī rahī har ek koshish ishq meñ
past kar Daale ga.e sab hausle tadbīr ke
taur bigDe hain nigah-e-husn-e-alamgir ke
kyunki ab jauhar khule hain aah ki tasir ke
wo bhula sakte nahin meri wafaon ko kabhi
naqsh hote hain dilon par shoKHi-e-tahrir ke
kahkashan qaus-e-quzah gul najm KHurshid-o-qamar
aks hain ye bhi tumhaare husn ki tanwir ke
ab nahin samjhe to kab samjhenge taur-e-dard-e-dil
aise hi hote hain tewar maut ki taswir ke
ishq ki fitrat hi jab minjumla-e-afat hai
kis liye shikwe karen hum katib-e-taqdir ke
kuchh tabassum bhi wahi hai kuchh takallum bhi wahi
pae hain andaz ghunchon ne teri tamir ke
raegan jati rahi har ek koshish ishq mein
past kar Dale gae sab hausle tadbir ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.