taur-e-duniya ke sath jaiyo mat
taur-e-duniyā ke saath jā.iyo mat
'ishq kiijo magar jatā.iyo mat
haiñ tamāshā.ī chāra-gar saare
zaḳhm dil ke unheñ dikhā.iyo mat
haañ yaqīnan qusūr merā hai
bār-e-ilzām tum uThā.iyo mat
daam Daale hai ḳhuub ye sayyād
dahr ke sho'bade meñ aa.iyo mat
rakhiyo nazreñ 'amal pe nāseh ke
kuchh kahe ye fareb khā.iyo mat
husn-e-zan rakhiyo apne logoñ se
dekhiyo suniyo āzmā.iyo mat
talḳhiyāñ dostī meñ gar hoñ 'zahīr'
talḳh lahja zabāñ pe lā.iyo mat
taur-e-duniya ke sath jaiyo mat
'ishq kijo magar jataiyo mat
hain tamashai chaara-gar sare
zaKHm dil ke unhen dikhaiyo mat
han yaqinan qusur mera hai
bar-e-ilzam tum uThaiyo mat
dam Dale hai KHub ye sayyaad
dahr ke sho'bade mein aaiyo mat
rakhiyo nazren 'amal pe naseh ke
kuchh kahe ye fareb khaiyo mat
husn-e-zan rakhiyo apne logon se
dekhiyo suniyo aazmaiyo mat
talKHiyan dosti mein gar hon 'zahir'
talKH lahja zaban pe laiyo mat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.