tausan-e-waqt ki raftar baDha di jae
tausan-e-vaqt kī raftār baḌhā dī jaa.e
muddat-e-hijr kisī taur ghaTā dī jaa.e
un se milne pe hai qadġhan magar itnā to ho
roz un kī na.ī tasvīr dikhā dī jaa.e
koī sarhad na ho viize kī zarūrat na rahe
kaash duniyā mire ḳhvāboñ sī banā dī jaa.e
shāyad is tarah judā.ī kī aziyyat kam ho
arsa-e-vasl kī har yaad miTā dī jaa.e
lamha-bhar fasl bhī ḳhatra hai ta'alluq ke liye
jūñhī dīvār uThe ghar meñ girā dī jaa.e
isī duniyā meñ uThā.ī hai sa.ūbat 'kāshif'
isī duniyā meñ mohabbat kī jazā dī jaa.e
tausan-e-waqt ki raftar baDha di jae
muddat-e-hijr kisi taur ghaTa di jae
un se milne pe hai qadghan magar itna to ho
roz un ki nai taswir dikha di jae
koi sarhad na ho wize ki zarurat na rahe
kash duniya mere KHwabon si bana di jae
shayad is tarah judai ki aziyyat kam ho
arsa-e-wasl ki har yaad miTa di jae
lamha-bhar fasl bhi KHatra hai ta'alluq ke liye
junhi diwar uThe ghar mein gira di jae
isi duniya mein uThai hai saubat 'kashif'
isi duniya mein mohabbat ki jaza di jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.