tawaf-e-mai-kada hi se hai mujhko kaam ai saqi
tawaf-e-mai-kada hi se hai mujhko kaam ai saqi
Mehdi Machli Shahri
MORE BYMehdi Machli Shahri
tavāf-e-mai-kada hī se hai mujh ko kaam ai saaqī
yahī īmāñ yahī hai shaġhl sub.h-o-shām ai saaqī
baḌhā de merī jānib bhī kuchh aise jaam ai saaqī
miTe jin se ki fikr-e-gardish-e-ayyām ai saaqī
tire dar se jo phir jā.ūñgā maiñ nākām ai saaqī
batā de tū hī kyā hogā mirā anjām ai saaqī
mujhe donoñ jahāñ se kar de jo be-kām ai saaqī
ho jis meñ aks-e-rū-e-yār de vo jaam ai saaqī
jo le le merī rāhat aur mirā ārām ai saaqī
rahe jo hashr tak gardish meñ de vo jaam ai saaqī
pilā kar mai mujhe tū chheḌ de sāz-e-taraf aisā
sunā de be-ḳhudī kā mujh ko jo paiġhām ai saaqī
vo mai-ālūd ḳhirqa de ḳhudā ke vāste mujh ko
zamāne bhar meñ jo kar de mujhe badnām ai saaqī
miTā de ḳhud-parastī ko jo mai vo mai atā kar de
vo mai jis se na ho parvā-e-nang-o-nām ai saaqī
ye hai kis rind kī mayyit jo mai se ġhusl dete vaqt
machā hai mai-kashoñ meñ har taraf kohrām ai saaqī
isī se hotī jaatī hai jarāhat mere zaḳhmoñ kī
batā.ūñ kyā tujhe maiñ lazzat-e-dushnām ai saaqī
mai-e-sar-ḳhush mujhe vo tū pilā de apne hāthoñ se
bhulā de jo mire dil se ġham-e-ayyām ai saaqī
hamārī bāda-noshī hashr meñ bhī rang lā.egī
vahī laġhzish vahī hāthoñ meñ hogā jaam ai saaqī
utar aa.ī mire dil meñ jo chhalkī terī āñkhoñ se
yahī shīsha hai merā aur yahī hai jaam ai saaqī
mujhe mai dene se kis vāste tū hichkichātā hai
mujhe ma.alūm hai āġhāz aur anjām ai saaqī
ḳhumār-e-bāda se hotā hai jis dam sargirāñ 'mehdī'
batā detī hai merī laġhzish-har-gām ai saaqī
tawaf-e-mai-kada hi se hai mujh ko kaam ai saqi
yahi iman yahi hai shaghl subh-o-sham ai saqi
baDha de meri jaanib bhi kuchh aise jam ai saqi
miTe jin se ki fikr-e-gardish-e-ayyam ai saqi
tere dar se jo phir jaunga main nakaam ai saqi
bata de tu hi kya hoga mera anjam ai saqi
mujhe donon jahan se kar de jo be-kaam ai saqi
ho jis mein aks-e-ru-e-yar de wo jam ai saqi
jo le le meri rahat aur mera aaram ai saqi
rahe jo hashr tak gardish mein de wo jam ai saqi
pila kar mai mujhe tu chheD de saz-e-taraf aisa
suna de be-KHudi ka mujh ko jo paigham ai saqi
wo mai-alud KHirqa de KHuda ke waste mujh ko
zamane bhar mein jo kar de mujhe badnam ai saqi
miTa de KHud-parasti ko jo mai wo mai ata kar de
wo mai jis se na ho parwa-e-nang-o-nam ai saqi
ye hai kis rind ki mayyit jo mai se ghusl dete waqt
macha hai mai-kashon mein har taraf kohram ai saqi
isi se hoti jati hai jarahat mere zaKHmon ki
bataun kya tujhe main lazzat-e-dushnam ai saqi
mai-e-sar-KHush mujhe wo tu pila de apne hathon se
bhula de jo mere dil se gham-e-ayyam ai saqi
hamari baada-noshi hashr mein bhi rang laegi
wahi laghzish wahi hathon mein hoga jam ai saqi
utar aai mere dil mein jo chhalki teri aankhon se
yahi shisha hai mera aur yahi hai jam ai saqi
mujhe mai dene se kis waste tu hichkichata hai
mujhe malum hai aaghaz aur anjam ai saqi
KHumar-e-baada se hota hai jis dam sargiran 'mehdi'
bata deti hai meri laghzish-har-gam ai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.