tawajjoh apne dil ki sari chahat usko de dungi
tavajjoh apne dil kī saarī chāhat us ko de dūñgī
vo mujh se milne aa.e to rifāqat us ko de dūñgī
nahīñ rakkhūñgī apne paas ḳhvāboñ kā koī gulshan
diloñ meñ khilte phūloñ kī latāfat us ko de dūñgī
maiñ apne paas rakkhūñgī faqat tanhā.ī ke mausam
aur apne dil kī har mahfil kī zīnat us ko de dūñgī
maiñ us ke vasl kī ḳhātir zamāne kī nigāhoñ se
adāvat maañg lūñgī aur mohabbat us ko de dūñgī
maiñ us ke ḳhvāb dekhūñgī to dekhūñgī har ik shab ko
phir ik ik ḳhvāb kī zinda haqīqat us ko de dūñgī
milegā ab jo vo mujh se to sochā hai ki ye 'shāzī'
maiñ apnī zindagī aur apnī qismat us ko de dūñgī
tawajjoh apne dil ki sari chahat us ko de dungi
wo mujh se milne aae to rifaqat us ko de dungi
nahin rakkhungi apne pas KHwabon ka koi gulshan
dilon mein khilte phulon ki latafat us ko de dungi
main apne pas rakkhungi faqat tanhai ke mausam
aur apne dil ki har mahfil ki zinat us ko de dungi
main us ke wasl ki KHatir zamane ki nigahon se
adawat mang lungi aur mohabbat us ko de dungi
main us ke KHwab dekhungi to dekhungi har ek shab ko
phir ek ek KHwab ki zinda haqiqat us ko de dungi
milega ab jo wo mujh se to socha hai ki ye 'shazi'
main apni zindagi aur apni qismat us ko de dungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.